Fix Kali Linux Repository Slow Speed And Fix Sources.list Issue And GPG Key Error | Hindi


Namaskar Dosto Mera Naam Prashant Asoliya Hai
To Jaisa Ki Aap Sabhi Logo Ko Pta Hoga Jab Ham Kali Linux Ko Install Karte Hai
To Sabse Pahli Problem Jo Hame Dhekhne Ko Milti Hai
Bo Kali Linux Ki Sources.List Ko Leke Hoti Hai
Jaise Ki GPG Key Error, Repository Slow Speed, Etc
To Aaj Mai Aapko Usi Problem Ka Solution Dene Wala Hu
To Chaliye Suru Karte Hai

To Sabse Aapko Apni Kali Linux Me Terminal Open Karna Hai
Fir Us Terminal Me Aapko Command Deni Hai
Command: ( wget -q -O - https://archive.kali.org/archive-key.asc | apt-key add )
Fir Aapko Enter Botton Press Karna Hai
Fir Ok Likha Hua Aa Jayega
Jaisa Ki Aapko Screenshot Me Dikh Rha Hoga




Ab GPG Key Aapki Kali Linux Me Successfully Add Ho Chuki Hai
To Ab Aapki GPG Key Error Ki Problem Fix Ho Chuki Hai

Ab Hame Kali Linux Ki Sources.list Ka Error Aur Repository Ki Slow Speed Ko Fix Karna Hoga
To Usake Liye Aap Apni Kali Linux Ki File Manager Ko Open Kar Lijiye
Nhi To Aap Ye Kaam Command Line Bhi Kar Sakte Hai
But Mai Aapko Es Article Me Graphical Tareeke Se Batauga Taki Aapko Samjhne Me Aasani Ho
To Ab Aapko Kali Linux Ki Sources.list Wali Directory Me Jana Hoga Uska Path Ye Hai
/etc/apt/sources.list
Jaisa Ki Aapko Screenshot Me Dikh Rha Hoga



Ab Aapko apt Folder Ke Andar sources.list Naam Ki File Dikhegi

Use Aapko Kisi Bhi Text Editor Me Open Kar Lena Hai
Mai Yahaa Pe Kwrite Text Editor Ka Use Le Rha Hu
Aap Kisi Aur Text Editor Ka Bhi Use Le Sakte Hai
Jaise Ki ( Leafpad ), ( Nano) Command Line Editor, etc.



Text Editor Me Open Kar Lene Ke Baad Aapko sources.list Me Likha Hua Sara Text Delete Kar Dena Hai
Fir Uski Jagah Pe Aapko Ek New Text Ko Add Kar Lena Hai
Jise Repository Kahaa Jata Hai
Jaisa Ki Aapko Screenshot Me Dikh Rha Hoga

sources.list Repository:
1.
deb https://mirrors.ocf.berkeley.edu/kali kali-rolling main contrib non-free 
# For source package access, uncomment the following line 
# deb-src https://mirrors.ocf.berkeley.edu/kali kali-rolling main contrib non-free

2.
deb http://kali.cs.nctu.edu.tw/kali kali-rolling main contrib non-free
# For source package access, uncomment the following line
# deb-src http://kali.cs.nctu.edu.tw/kali kali-rolling main contrib non-free


Repository Link: Click Here



Aap En Dono Me Se Kisi Bhi Ek Repository Ka Use Le Sakte Hai Ye Dono Hi Fast Repository Hai
Agar Aap En Repositories Ka Full Use Lena Chahte Hai To Aap Enke Aage Se # Hash Ko Hataa Dijiye

Fir Aap Sources.List Ki Sabhi Repository Ka Use Le Payenge
To Ab sources.list Me Repository Ko Add Karne Ke Baad Me Aapko Sources.List File Ko Save Kar Ke Close Kar Dena Hai
Ab Aapko Apne System Ko Internet Se Connect Kar Lena Hai
Fir Aapko Terminal Open Karna Hai Usme Aapko Command Deni Hai

Command: ( apt-get update
Fir Aapko Enter Botton Press Karna Hai
Ab Aapka Repository Ko Update Karne Wala Process Start Ho Jayega
Jaisa Ki Aapko Screenshot Me Dikh Rha Hoga



Process Complete Hone Ke Baad Aapki Repository Update Ho Jayegi


Ab Aap Apni Kali Linux Me Packages Ko Install Kar Sakte Hai

To Dosto Agar Aapko Ye Article Pasand Aaya Ho To Aap Mere Youtube Channels Ko Jaroor Subscribe Kijiye
Dhanyavaad

My YouTube Channel Link    Click Here
My Second YouTube Channel Link     Click Here

No comments

Powered by Blogger.